phir kabhi yun bhi hota..
ki naam mera aata...to tum halka sa muskuraate..
unn silawaton mein..
unn karwaton mein..
unn lafzon mein... jo aankhon mein the...
unn lakeeeron mein ...jo maathe pe the..
woh muskurahat ko tum aaine se chhupate..
aur talashte ,woh sapna jo bikhar gaya tha..
phir kabhi yun bhi hota..
ki tum mudte baar baar ...aur aage chale jaate
uss ped ki chaun mein..
unn paaton ki sarsarahat mein
uss chehre pe lagti hui dhool mein
unn aankhon mein chhubti hui dhoop mein
uss gali mein jahan bhatak gaye the..
iss baar mudd ke tum ruk jaate..
aur dhoondte us haath ko jo kahin chhooth gaya tha...
phir kabhi yun bhi hota..
ki gaana woh bajta radio pe..
toh tum phatt se badal dete...
par fir awaaz yaad karke meri..tum khud hi gun gunaate..
aur dhoondte woh aankhein jo tumse kehti ki 'tum achha gaate ho'
kabhi yun bhi hota...